Papa — Dad, Pita, Baap, Paa, Daddy
Kuch Baatein Humare Real Superhero Ki
Mere speed dial no. 1 pe bhi rehke inse sabse kam baat ho pati hai.
Bohot kam baat hote huye bhi sabse zyada arguments bhi inhi se hote hain.
Bachpan main jitna maine badminton, hockey, cricket bat se khela nai hai usse zyada inse maar padi hai. Toh ab pyar dikhane wala bond thoda toh mushkil banega hi.
Inko samajhna shayad mumkin hai hi nahi. Par aaj koshish karte hai…
Koshish karte hai inhe samjhne ki
Koshish karte hai ye samajhne ki ye humare liye kitne zaroori hai
Koshish karte hai ye samajhne ki, kyun hum inhe kabhi kabhi samajh nahi paate
Samajhne Ki Koshish
- Inhe vohi cheezain pasand aati hai jo inke bachon ko achi lagti hai.
- Ye shaqsh aise hai jo apne bachon ko sabse zyada samajhte hai par bilkul pta chalne nahi dete hai. Aur ye tab se samajhte aa rahe hai jab se inke bachon ko bolna tak nahi aata tha.
- Inhe jazbaat dikhana acha nahi lagta par jazbaati sabse zyada hote hai. Maa pyaar dikha jati hai par jab inki baari aati hai ye 1 kadam piche le lete hai.
- Camera ke aage nahi aate kabhi, bas behind the lens rehke saari moments capture karte hai. Tasveeron mein na aakar bhi hamara har pal tasveeron mein kaid kar lete hai.
- Apne sapno ko maar kar ye paise FD main daalte rhe taki inke bache apne saare sapne pure kar payein.
- Vaise toh saari duniya se strong hai ye par apne bachon ki zid ke aage jhuk jaate hai.
- Inko bhi toh duniya pareshaan karti hogi, Inko bhi toh dard hota hoga, rone ka mann karta hoga, apni khwahishein puri karne ka mann karta hoga. Par mzaal hai hume pata bhi lagne de kisi bhi cheez ka.
Par Phir Kyun?
Phir pata nahi kyun hum inki Kurbanion ko inka farz samajh lete hai. Phir pata nahi kyun inke pyaar ki kadar karna bhool jate hain. Mujhe yakeen hai inke bina hum me se koi bhi apni zindagi imagine bhi nahi kar sakta par fir bhi inki kadar kar kyu nahi paate jitna ye deserve karte hain.
Ab inke bache bade ho gaye hain, door shehron mein chale gaye hai. Ab inke bacho ko inki baatein ajeeb lagne lagi hain. Bachon ko inki baatain old fashioned lagne lagi hai, naya zamana hai aap nahi samjhenge, Inko ye sunne ko milne lga hai.
“Ye toh apni aulad ke liye sab karte hain, aapne kuch alag nahi kiya hai”
, ye sunkar dard toh inhe bhi bahut hota hoga, Mann toh inka bhi rota hoga.
Bachpan Ka Kissa
Mujhe yaad hai bachpan main mai shayad 10 saal ka rha hounga, aur mere sab doston ke paas video game thi. Vo video game jisme cassette dalta tha aur Mario
aur Contra
jaisi games hoti thi. Mujhe yaad hai ki uss game ki zid main maine khana chod diya tha. Bahut samjhaya gya par shayad bohot zyada hi dedicated tha main game ke liye. Aur jis game ki zid kar rha tha vo shayad mere city main available bhi nahi thi.
Aur kuch zyada yaad nahi hai par agle 2 ya 3 din main Delhi (320 kms from my hometown) se vo game le aaye the. Ab 10 saal ke bache ko shayad apni majbooriyan toh nahi bata sakte the, hum isse afford nahi kar sakte ye toh nahi bata sakte the.
Par abhi jab mai iss baat ko recall kr rha hu toh Papa ka vision samajh aata hai. Vo game jo mujhe mili usme 10 feet lambi connector cable thi, taaki meri aankhain pe bura asar na ho. Us game main keyboard tha, taaki mai typing practice kar saku. Shayad unko pta tha ki aage chalke mai computers main hi kuch karne wala hun. I think vo keyboard ek blessing thi ki aaj duniya ki sabse badi company main kaam kar raha hoon.
Soch raha tha ki kal ko agar mera bacha PS5 ki zidd krega aur abhi jaise pure India main PS5 available nahi hai, kya mai itna effort daalne ki soch bhi skta hu jitna Papa ne mere liye har baar lagaya hai. Mujhe nahi lagta main inka 10% bhi kabhi ban sakta hu.
Kuch Shikayatein Bhi Hain Inse
Sensitive hona bhi cool hai aajkal, vo fatherhood ka syllabus change hogya hai. Aap chill kar sakte ho humare sath, chaar log kuch nahi kahenge. Koi judge nahi karega.
Aap apni problems discuss kar sakte ho humse, kya soch rahe hote ho, bata sakte ho. Aap relax kar sakte ho, aapke bache bade ho gaye hai, iss sach ko maan sakte ho. Thoda kam strict ho sakte ho. Hamari fikr krna kam kr skte ho. Jitni jaldi gussa ho jate ho utni jaldi pyar bhi jataa sakte ho.
Kuch Suggestions Hai Inke Bachon Ke Liye
Kuch cheezein hume khud ko samajhni padengi ke, Aaj ki life bahut tez ho gayi hai, par inhe iski aadat nahi hai.
I know bohot pressure hai kaam ka, time nahi de paate hain. Par isme kisi ki galti nahi hai. Unhe humari situation ka pta nahi hai aur hume unki.
Abhi mobile ki choti se cheez samajhne main itna time thode hi lgta hai, ye bhi soch lete hai. Kabhi kabhi thoughts bhi clash kar jate hai. Dekho inko samajhna mushkil toh bahut hai, aap quantum physics fir bhi puri tarah se samajh sakte ho ek baar, par inhe nahi.
Maine ye blog apne Papa ke birthday pe likha hai (Real Post Link). Aur isliye khayal aaya ki, zaroori nahi haina ki hum ye birthdays ya father’s day ke cards dekar ya Instagram pe pictures ya story post karke hi ya quotes share karke hi apni feelings share karain.
Toh kuch practical tips hai jo hum day to day follow kar sakte hai.
Har din 10-20 min inke sath news dekh sakte hai.
Jo inka interest hai uspe baatein kar sakte hai.
Weekly ek baar oil chumpy kar sakte hai. Kisi weekend inki favorite dish cook kar sakte hai.
Inko apne khud par kharch karna nahi aata, Inko sirf apne bachon pe kharch karna aata hai. Toh hum time to time inke liye shopping kar sakte hai.
Kuch movies dekh sakte ho, kuch games khel sakte ho. Aur agar koi game idea nahi aa raha toh Tambola try kar sakte ho.
Iss post ko share kar sakte ho unke sath, agar theek lage toh.
I know ladko ke liye kaafi mushkil hai ye sab. Ek baar soch ke dekho kab hug kiya tha last time aapne inko. Jis bhi din ye padh rahe ho, ussi din try zarur kar sakte ho, itna awkward bhi nahi hai jitna soch rahe ho.
I know COVID19 ki vajah se kuch log apne mata pita se door honge. Video call kijiye aur btaiyiye ki kya value hai inki aapki zindagi main.
Hum sab ko pata hai ki ye mushkil samay hai, par agar aap apne parents ke sath ho iss samay toh ye ek blessing hai. Count your Blessings, not your troubles.
Ab hindi main utna padhna ho nahi pata aur shudh hindi 11 saal pehle likhi thi. Ab ye likh toh diya hai, agar acha laga toh bohot bohot shukriya aur agar nahi lage toh bhi abhi zyda kuch ho nahi sakta. Isme se jo bhi acha lage usse apply kar lijiyega, apne saath le jayaiyega aur jo acha na lage usse yahin chod dijiyega.